Saturday, January 22, 2011

my mail to two editors ( at bhopal )

" apni yeh saali zindagi "- Manuscript for publication

Dear ----

1 ' yeh saali zindagi ' ke Official Facebook Page par filmkar shri sudhir mishra ne ek Band Hunt Contest ghoshit kiya tha.

2 is Contest mein ek geet bhejne ko kaha gaya tha jisme " Yeh Saali Zindagi " shabdon ka zikra aawashyak tha , jo ki 04 february 2011 ko release hone waali unki film ka title hai.


3. January 07 2011 ko bina karan bataye yeh ' contest'/spardha wapas le lee gayee.

4. tab tak maine yeh geet record karke unki website par post kar diya tha.

5 " apni yeh saali zindagi" sheershak ka yeh geet mere Blog http://zg4u.sulekha.com par uplabdh hai, aur Copyrights mere hain.

6. geet is prakar hai :-


' apni yeh saali zindagi ' -

_ Chahatein to aadat theen,
ulfatein ibadat theen,
toot-te -judte dilon ki ,
muhabbatein theen bandagi

tha waqt ne khela juaa,
halaaton ke paase palte,
dhadkanon ne daon par rakhee,
apni yeh saali zindagi

`~

pyaar ka aakhir ,
matlab kya hai,
kya koi jaane kya boojhe koi
kaise tabah par-
-wane huye hain,
choole jise preet jaane wohi

ishque ke jantar mantar mein
kaisi nirali zindagi

tha waqt ne khela juaa,
halaaton ke paase palte,
dhadkanon ne daon par rakhee,
ik nashe ki pyali zindagi

~ ~

milne ki khwahish
khone ka gham bhi
sehraa ki reton mein pyase kai
haal-e-jigar yeh
kis-se kahen hum
log samajh kar samajhte nahin


subah ki lali thi ya ki
thi raat kali ` zindagi


tha waqt ne khela juaa,
halaaton ke paase palte,
dhadkanon ne daon par rakhee,
ik saans yeh khali zindagi


Lyrics / Music - Copyright -© Zoya Gautam


Please consider this as my text for publication,

warmest regards &

best wishes for the new year ,

zoya gautam

[ ps:-

The undermentioned link opens the webpage where i have uploaded a demo recording of the said song :-


http://zg4u.sulekha.com/blog/post/2011/01/apni-saali-yeh-zindagi.htm


*
vocals : monty
recording/programming : funtoosh
lyrics-composition-arrangement : buju ( ie me zg )